Tuesday, November 3, 2015

DRISHYAM : JO DIKH RAHA HAI WO SACH HO JARURI NAHI

Pichhle kuchh dino se ye dekhne mai aa raha hai ki kuch log asahishnuta ka bahana bana ke apne awards wapas de rahe hain... lekin ye samjhne ki jarurat hai kii achanak unko ye khayal kaha se aya? kya kashmir mai jab pandito ko mara ja raha tha uss me unko desh ka vikas nazar aya tha?  kya 1984 mai sikho ka katle aam hua to uss me unko koi asahishnuta nazar nahi ayi? ya yu kahe kii unko kewal ek party vishsesh mai asashishnuta nazar ati hai...aur ek vyakti vishesh hi unke nishane pe hai jiski apratyashit safalta shayad wo log abhi tak pacha nahi paaye...1984 k sikh dange mai agar insaniyat kii maut nazar nahi ayi to inn tathakthit budhhijeevio par laaanat hai aur sathh hii ye bhi spasht ho jata hai kii inka ye virodh kewal lakshit(targetted) aur purv niyojit hai jiske praayojak parde k pichhe se inko samarthan kar rahe hain... to ab aap hii bataiye desh ka mahol kaun bigaad raha hai? desh ko sabse bada khatra kis se hain? sach yehi hai kii desh ko sabse bada khatra inn chhadm budhijeevio ki jamat se hai jo doosro kii dhun pe naachne wale nachaiye ban kar thumke laga rahe hain... ajay devgan ki ek movie ayi thi haal hi mai"drishyam", jisne dekhi hai wo jante honge kii isme kis tarah se hero ek chhadm(nakli) kahani ka tanabana bun kar police ke ala afasar ko gumrah kar deta hai...bas yahi khel aajkal kuch lekhak aur neta mil kar kar rahe hain... kesi desh seva hai ye? ye saabit karne kii ghatiya soch kii desh gart mai ja raha  hai?arre kaha mar gaye the tum sab mumbai mai 26/11 hua tha? tab to kisi  ne koi awaz nahi uthai? desh jan'na chahta hai tab kyu chup rahe ?

No comments:

Post a Comment